Mera ye thos vishwas hai ki proudyogiki samaj me samanta laneke liye ek mukhya upakaran hai. Proudyogiki ek hi aisi upkaran hai jisse har ek insan, uske shiksha, aarthik avastha, rahan-sahan jo bhi ho, uski parvah na karte huye, samajik badlav ke liye kaam kar sakti hai.
Internet aur smart phones jaise proudyogiki ke avishkar se pehle, sirf vo insan jinke paas uch shiksha aur dhan tha, jo aise shahar ya desh mey rahrahe the jaha samaj aur sarkar samajik badlave ki samarthan me the, wahi insan samajik badlav ke liye kam kar sakte the.
Lekin, aaj ke din me, proudyogiki ke badaulat, har insan samajik badlav me shamil ho sakta hai. Yahan tak ki jo arthik sadhan na hone ki vajah se siksha ka laabh nahi utha sakte, woh mupht me Coarsera jaise Massive Online Open Course ke zariye kisi bhi vishay me shiksha prapt kar sakte hain.
Pehle ye man na tha ki sirf amir log daan dharm karte hain. Lekin, ab bhir vita poshan (crowd-funding) websites, jaise Indiegogo ya Global Giving ke badaulat har koi samajik badlav ke liye daan kar sakte hai. Unki aarthik avastha jaisi bhi ho, woh chahe toh $5 ya $10 deke bhi samajik badlav ka hissa ban sakte hain.
Aur agar itni chhoti rakam bhi koi insaan daan na kar pata hai, phir bhi, nagarik patrakarita ke zariye who samajik badlav me shamil ho sakte hai. Wikipedia jaise jankari bhir srota karne vale website ke madhyam se koi bhi insaan samajik badlav lane ke liye jankari yogdan kar sakta hai, jaise ki aurto ke liye ye jaga surakshit nahi hai, ya, I Paid A Bribe jaise website ke madhyam se woh ghoos lene vale sarkari chakar ko report kar sakte hai. Aur ye sab smart phone aur aise website jaise proudyogiki hi vajah se mumkin hai.
Aaj ke din me proudyogiki ke badaulat koi bhi insaan, ek yachika pe apna hastakhat dal ke, $5 daan karke, ek chitra le kar baat ke samaj ka bhala kar sakte hai.